NAADAN PARINDA
Aaj yun hi ek khayaal mere
mann mein aaya,
Kitne gam main bhula, kitni
khushiyon ko gale lagaya.
Pata nahin is jeevan se mujhe
kya aas thi,
Kis raah pe bhatak raha tha,
naa jaane kiski talaash thi ??
Mann mein ek manthan hi, ho
raha tha naye vichaaron ka ufaan,
Saanson ki gati tez thi,
jaise aaya ho kahin toofan.
Sheher badal chuka hai, ab ek
naya shor hai,
Mann mein ek chouraaha hai,
ek se jyada mod hain.
Dhundh mein naye chehre dikh
rahe hain,
puraane chehron ka bhi hai
saaya,
Isi kashmokash mein hun ki
kaun apna hai, kaun paraya ??
Rooh mar chuki hai par
shareer se aaj bhi zinda hun,
Apne gharonde ko dhoondhta ek
“NAADAN
PARINDA” hoon.
No comments:
Post a Comment